|
|
|
by: Ameen Asim
| Apnay dukh bhi usay sunaanay heN | | zakhm dil kay magar chhupaanay heN | | dil ke hujray ke aik konay meN dafn yadooN ke kuchh khazaanay heN pehlay nikla naeeja kia, ab phhir haath baanday miri doa ne heN rabt baaqi hay ab faqat itna us ke khat kuchh abi jalaanay heN chhaT hi jaaiN gay hijr kay baadal saaray mosam hi aanay jaanay heN pehlay martay thay dosti per log man ghhaRat qissay heN, fasaanay heN teer koi naya nahiN aaya ghaao dil ke sabhi puraanay heN koi heela nahiN manaanay ka roothnay ke to so(100) bahaanay heN dekhh Asim ye meri palkooN per ashk heN ya gay zamaanay heN
|
|
|
|