|
|
|
by: shambhu nath
| kaga nit darwaje par mere | | kaw-kaw jab karta hai | | aate honge sajan mere man umange bharta hai saj-dhaj kar mai raah niharu ho jati hai shaam kam-kaj me man nahi lagata na chhaw lage na ghaam bite pal ko soch soch kar suraj yoo hi dhalataa hai kaga nit darwaje par mere kaw-kaw jab karta hai phone ki ghanti jab bajati hai daur laga ke jati hoo, awaj sunati auro ki jab roti wapas aati hoo aasha ka dipak jo mera hai rat dina kyo jalata hai,, kaga nit darwaje par mere kaw-kaw jab karta hai sasu jethani nand dewrani sab koi mare tana sasur hamare bak-bak karate jald banao khana sun baate ji byakul hai, kab hoga yoo aanaa lagata koi aash nahi hai dil maike ko jaane kahata kaga nit darwaje par mere kaw-kaw jab karta hai
|
|
|
|