|
|
|
by: shambhu nath
| Dunia me bhagwan ne sab kuchh banaya | | Par diya gam kisi ko kisi ko hasaya | | Ek aurat ki suno dasta sachchi kahata Pati jinda raha bimar wah hardam rahata Pati ki bimari me wah dhan our daulat bechi Sara jewar suno samman malkiyat bechi Ek din rat me pati kaha bula karke Thanda pani to lao kahi se ab ja karke Nari pani ko gayi pati ne dam tor diya Aaj dunia se suno nata baba tor diya Nari jab aayi jivit pati nahi paya hai Ro kar aawaj tabhi prabhu ko sunaya hai Kisake gale se bhagwan mujhako lagaya … Par diya gam kisi ko kisi ko hasaya Akeli lash liye pati ko jalane chal di Dhadhakati jwala apane dil ki bujhane chal ki Pahuchi jab ghat upar chita jyo rachati hai Apane haatho swayamb pati ko jalati hai Sham ka vakt tha chita lagi bhabhakane Ek sadhu aaya fir laga wahi tarapane Sadhu baba ne kaha suna ghat mera hai Lash hata le fauran hamara dera hai Kisake kahane se yaha chita ko rachayi hai Suno nari fir ro ro karke yahi sunayi hai Pati ke sat se yaha chita ko rachaya Par diya gam kisi ko kisi ko hasaya Nari fir ro kar kaha lash na uthaugi Bina jalaye huye pati ko nahi jaugi Sadu baba ne kaha jal ko badha dunga tab Nari ro kar kaha hantho par jala lungi tab Sadhu baba ne suno jal ko jab badhaya hai Jalati huyi lash nari haath pe uthaya hai Kahate kavi hai ye bhagwan ki maya Par diya gam kisi ko our kisi ko hasaya Dunia me bhagwan ne sab kuchh banaya Par diya gam kisi ko our kisi ko hasaya
|
|
|
|