|
|
|
by: Amandeep Singh
| Jab bhi milti ha zindagi | | Ek ajnabi mod pe le jaati hai! | | Us mod pe akele chod ke Fir kahin door nikal jaati ha! Us mod pe akela ruka hua Aaj main hairaan sa hun! Aankhon pe padi dhool se Main thoda preshan sa hun! Zindagi ke is mod pe aa kar Jaise waqt ruk sa gaya hai! Nazuk si hasraton ka boota Yahan pe panap nahin raha hai! Us boote ko kisi aur Zameen ki talaash hai! Zindagi mujhe aaj Ek naye mod ki talaash hai!
|
|
|
|