|
|
|
|
Jab Suraj Mein Garmi Na Ho
|
by: sharan jha
| suraj mein garmi na ho | | to aasha ki chadar buno, | | apni hansi ko nahin zakhmon ko apne dahko. deri karoge agar din aage nikal jayega, mitti mein boyega jo woh hi fasal payega. yeh bacche jo rahon mein hein samay ki amanat hein yeh, bikhre jo yeh tuut kar gulistan pe lanat hai yeh. boli ko zuban se nahin dil se nikal aane do, jata hai jo chod kar roko na, tum jane do. suraj mein garmi na ho to aasha ki chadar buno, jo tera hai laut aayega uski rahon se kanten chuno.
|
|
|
|