|
|
|
by: ravi pipal
| Khuda ye din bhi dikhaaye mujhko | | Mein rootha rahun, wo manaaye mujhko | | Itna aasan kahan hunar badle ka Hasrat hi reh gai, meri tarah wo sataaye mujhko Sab kuchh to kaha, baaki kya raha Armaan agar hai to aaj wo bhi sunaaye mujhko Suna hai mera naam na lene ka ahad uthaya hai Ye kaisi kasam hai, shaam-o-sehar wo gungunaaye mujhko Dil ke khel mein sanam ab maahir ho chale Gair ki mehfil mein, wo bewafa bataaye mujhko Ei khuda dil ke haathon,use is qadar majboor kar de Bhale baat na kare, ek baar to bulaaye mujhko MUJH ME KHAAMIYN HAZAAR, MUJHE KAB INQAAR KAASH WO MITA KE FIR SE BANAAYE MUJHKO! |
|
|
|